Monday, March 10, 2014

Labz - The Big Bang Jam!

Dil ki baatein kaho, toh tum khafaa ho;
Pyaar ki jo baatein kaho, kyun tum khafaa ho;
Labz jo kuch bhi kahe, toh tum khafaa ho;
Nazron se jo na samjhoon, toh tum khafaa ho;

Raaton ki woh baatein, kuch fasaana kehti hai;
Dardon ka saath ho, toh chupki si lagti hai;
Taras pada jab man tera, Yaad tab aati hai;
Pareshaan ho jab man tera, labz kam padte hai;

Raahein nayi hai, Baatein nahi hai;
Baat kambakht saali banti nahi hai;
Tujh se milna hota nahi hai;
Ek laash si zindagi,lagne lagi hai;

Do dilon ka fasaana yahin;
Tere bin jeena nahi;
Labz kuch kehte nahi;
Jeeneywaala yeh zamaana nahi



No comments: